DVWA App Kya Hai Or Isse Website Kaise Hack Hota Hai Kali Linux Me Full Tutorial In Hindi
DVWA VULNERABLE WEB APP KYA HAI
Dvmn Vulnerable Web App (DVWA) Ek PHP/MySQL web application hai jo Damn Vulnerable website ke liye use hota hai isko Engineers ne Web security ke liye banaya tha iska main kam yahi hai ki agar koi web developer hai or osko apni site ke liye security chahiye to iska use karta hai class room me v iske bare me padhaya jata hai but yaha pe hum log iska use security ko break karne ke liye karenge ye to aapko pata h hoga ki lohe ko loha h todta hai same waise h jo chij aapko security deti hai wo aapko mar v sakti hai same yahi proccess Damn Vulnerable Web App karta hai mujhe lagta hai ki aapko iske bare me ache se pata chal gaya hoga to hum next step pe badhte hai isko
install or configue karna sikhenge.
STEP BY STEP TO INSTALLING DVWA
DVWA ko hum kali linux ke liye use karenge jaise ki maine apne main website hacking ki post me bataya tha ki isko hum kali linux me h use karenge to chaliye sabse pahle hum ye man lete hai ki aapne apne computer me kali linux ko install karliya hai or agar aapne abhi tak kali linux ko install nahi kiya hai to niche link pe click krke aap post ko follow karke kali linux ko apne computer me install kar sakte hai .
REQUEMNENT :
Kali Linux : iss link pe aap kali linux ko install karne ke bare me padh sakte hai .
DVWA APP : iss link pe click karke aap DVWA app ko download kar sakte hai .
Apache web server pre installed : Ye kali linux me pahle se install rahta hai .
STEP 1. jo aapne DVWA app ko download kiya hai wo zipped file me hoga osko sabse pahle aapko unzip karna hoga iske liye aap mere ko follow kar sakte hai aisa iske liye kyoki maine iss app ko download karke desktop ke download folder me save kiya hai agar aap mujhe follow kar rahe hai to aap v iss folder me apna app ko save karde .
STEP 2. Ab aapko terminal ko open karna hai or oske baad aapko command dena padega ki aapka app kaha pe save hai jaise ki maine bataya hai ki maine desktop ke download folder me save kiya hai aap v yahi karle aasani hogi Ab aapko cd Desktop type karna hoga or oske baad agar aapne download folder me save kiya hai app ko to cd Download type kare oske baad aap IS type kare .
Ab aapko file ko unzipp karna hai iske liye aapko ye command dena hoga.
ab aapko firse IS type karna hoga oske baad aap dekhenge ki aapka file unzip hogyi hai or oska unzipped file location jo aisa hoga DVWA-1.9 aap dekh sakte hai.
STEP 3. ab humko aage badhne se pahle aapko do server ko chalu karna padega Apache web server and Mysql server.
ab aap Apache web server ko open kare or ye command ko type kare .
ab aap apache ka status check kare ki wo thik se kam kar raha hai ya nahi iske liye aapko iss command ko type karna padega
ab aap yaha pe dekh sakte hai ki hamara apaache ek dam thik se run kar raha hai
STEP 4. Ab aapko Mysql server ko start karna hoga iske liye aapko ye command dena hoga
ab aapko isko v check karna hai ki ye thik se run kar raha hai ki nahi iske liye aapko ye command deni hogi.
yaha pe aap dekh sakte hai ki green signal dediya hai iska matlab ye ache se run kar raha hai ap aaka dono server run kar raha hai
STEP 5. ab hamko apna (DVWA-1.9) unzipped file ka location ko /var/www/html me change karna padega aisa isliye kyoki kali linux ya apache ya mysql me /var/www/html file defult server /var/www/html ache se support karta hai to iske liye hame apne extracted file ko change karna padega .
Isko aap command deke v change kar sakte hai but aapko mai simplly method batata hu jisse aap iska location ko aasani se change kar payenge
STEP 6. aap isko rename DVWA-1.9 se /var/www/html kar sakte hai taki aapko ye yaad rahe or isko hame open karna hai jis browser me ye open hoga osme hame ye command dena
hoga.
STEP 7.Ab hamko read,write or execute ka permission DWVA location ko dena hoga aisa isliye taki server ko pata chal sake humne iska directory change kardiya hai iske liye hame iss command ko type karke server ko inform karna hoga.
ab aap iss command to type kre taki hum server ko read , write or execute permission desake.
STEP 8. ab homko zipped file ko configure krna hoga ye file hamare zipped file ke inside me present hoga ye file config.inc.php isko aapko ye command deke configue krna hoga.
ab nano editor me config.inc. file open kare nano editor me open krne ke liye ye command type kre.
ab yaha pe aapko jo pahle se password hai osko remove kardena hai or password ki jagah blank h rakhna hai oske baad aap ctr+o daba kar save krde oske baad ctr+x daba kar
exit karle .
step 9. Ab hamko root user ke liye yani hack karne ke liye new password create karna padega but osse pahle aap iss bat ka khyal rakhe ki jo aapka configue wala folder hai wo kahi idhar odhar na hua ho wo same location me ho oske baad aap jab terminor open kroge to ye aapse password puchega to waha pe aap bas enter daba de oske baad aap new password banane ke liye aapko ye command type karna hoga.
Ab aapka executed command successfully mysql me work kar raha hai bas aapka ye kam to complete hogya ab humko ek or database banana padega oske liye aap ye command type kare. create database dvwa1;
ab iss command dene ke baad aap exit type kare or mysql me wapas aajaye
STEP 10. Ab hamko apna database jo ki hamne command deke banaya tha osko apne local server me reset karna padega oske liye aap iss command ko type kare .
ab aap koi v browser ko open kre or oske ye url ko search kare http://localhost/dvwa/login.php
ab yaha pe ye usenane or password puchega
username = admin
password= password
agar aapne oppar sara detail ache se bhara hai to ye open hoga agar nahi ho rha hai to aap oppar ka steps ko dekho aapne koi step ko miss kiya hoga.
NOW POST IS COMPLETED HERE IS FEEDBACK
to dosto yaha pe aaj hamne apna website hacking ka installing system ko jana hai ab aage ki proccess ham next step me batayenge agar aapko iss post me koi steps samjh me nahi aaya hai ya fir kahi pe kuch error aarha hai to aap hame comment karke bataye hum osko personally aapko detail me batayenge hum aapko social media ke through v help kar sakte hai agar aapko ye post pasand aaya hoga to isko apne frnds me shere kare taki onko v iss trick ke bare me jankari ho sake .
Comments
Post a Comment